Tuesday 28 June 2016

Google adsene ko bank account connect kaiae kare

Google adsense pahle Electronic Funds Transfer (EFT) and Check ke throw payment karta tha. but ab adsense par direct bank account me money trasfer karne ki service available hai. ab adsense ‘Wire Transfer To Bank’ service se direct aapke bank account me paise send kartya hai. iske liye bas aapko adsense ke kuch simplate step follow kar ke apna bank account google adsense se connect karna hai.




In this post: is post me mai aapko google adsense me apna bank account number add karne ke bare me guide kar raha hu. agar aap alleady adsense se income kar rahe ho ya fir abhi aapne adsense se payment recieve nahi kiya hai to aap adsense par apna bank account add kar ke direct apne bank me payment recieve kar sakte ho. by the way agar aapko koi step samajh na aaye to niche commnet kar sakte ho.


Adsense se paise kamane ke liye website ya blog banani padti hai. fir us par adsense ke ads lagane padte hai. agar aapke pas koi website nahi hai to aap humari post padh kar agle 5 minute me apni free website bana sakte hai or use adsense se connect kar sakte hai. adsense acccount banane ke liye hamari post padh sakte hai.




Agar aap india se ho to adsense ko india me approved karana aasan nahi hai. india me rahte huye adsense approved karane ke liye aapko adsense ke rules follow karne honge. maine adsense approved ke bare me details se allready btaya hua hau. so mai yaha post ko lamba nahi karna chahata aap humari adsense se related post padh sakte ho.


By the way is post me hume adsense ko bank account se jodne ki bat karni hai. jisse aap apne bank account me direct payement hasil kar sako. to ab mai aapko iske kuch step btane ja raha hu. aap inhe dhyan se padiye. uske bad jab aapko puri tarah samajh aa jaye to follow kijiye. becoz money ka sawal hai so koi galati nahi honi chahiye.


Adsense account me bank account ko jodne ke liye aapko 2 important code ki jarurat padti hai. first IFSC or seconf SWIFT-BIC code. to chaliye mai aapko inke bare me bhi bta deta hu.

IFSC Code Kya Hota Hai & IFSC Code Kaha Se Milega



IFSC code aapki bank branch ka code hota hai. har bank ka apna IFSC code hota hai. aapka jis bank me account hai aap usse IFSC code pata kar sakte ho ya us bank ke costomer care no. par call kar ke IFSC code pata kar dakte ho. In my case mera bank account State bank of india me hai or meri bank passbook par meri branck ka IFSC code likha hua hai. ye lagbhag sabhi banko ki passbook me hota hai. aap apni bank passbook check kar sakte hai. ya fir customer care se pata kar sakte hai.




SWIFT – BIC Code Kya Hai & SWIFT – BIC Code Kaha Se Milta Hai

SWIFT – BIC code international money transfer karne ke kaam aata hai. iske liye aap apni bank ke custome care me call kare or unhe btaye ki meri international income jo ki dollar me hai aane wali hai. mujhe uske liye apni branch ka SWIFT code chahye. ya fir aap apni bank branch me ja kar bhi pata kar sakte ho. ya fir aap Ifsc Swift Codes website par ja kar bhi apni branch ka swift code pata kar sakte ho. agar aapki branch ka code available na ho to uske as-pass ki bank ka code use kar sakte ho.




Apni Branch Ka SWIFT – BIC Code Nahi Milne Par Kya Kare


SWIFT – BIC code local bank branch me available nahi hota hai. so aap apni bank branch ke najdeeki home branch jisme SWIFT – BIC code available ho use kar sakte hai. my means agar aapki bank branch me SWIFT – BIC ki suvidha na ho to aap usi bank ke jo branch sabse jyada karib ho uska SWIFT – BIC code use kar sakte hai. iske liye aap bank customer care, bank branch or upar di gayi ifsc swift code wali site se pata kar sakte ho.








Google Adsense Par Apna Bank Account Number Kaise Add Kare
Is post ko aage badhane se pahle mai man leta hu ki aap allready adsense account rakhte ho or aapke adsense account me 100 dollar se jyada kar balance hai. so ab aap adsense se earn ki gayi apni income recieve karna chahate ho.

Option 1:


Sabse pahle aap Adsense par ja kar log in kar lijiye.

Right side me settings ke gear icon par click kare.
Payments par click kare.


Option 2:

Ab Transaction history ka new page khulega. usme aapki Payable earning yani aap jitna payemt recieve kar sakte ho wo balance hoga. or uske right me how you get paid ka optin hoga.


How you get paid ke samne Manage par click kare.





Option 3:

Ab is tarah new page khulega usme  Payment Settings ka option aayega.

+Add a new payment method par click kare.


Option 4:

Ab jo page khulega usme aapko apne bank account ki details bharni hai. yad rahe is form ko dhyan se bharba hai. warna details galat hone par aapko payment recieve karne me problem ho sakti hai.

Apna name add kare. (aapka bank account name or adsense payee name same hona chahiye. warna aapko payment nahi milega.)
aapka jis bank me account hai. us bank ka name add kare. jaise state bank of india.
Apni bank ka IFSC code add kare.
Apni bank ka SWIFT-BIC code enter kare.
Apna bank account number add kare.
agar aap chahate hai ki aapko aage bhi isi bank account me payment milta rahe to “Set this payment method as primary’ par tick kare.
Sari setting ek bar check kar ke save par click kare.


Bas ab aapka bank account adsense me add ho chuka hai. ab har mahine ki 21 to 30 tarikh ke beech aapko adsense payment karta rahega. jo aapko 5-7 din me mil jayega. jab aapka payment aapke bank account me aayega to bank se aapko iske bare me calll aayega. wo aapse puchenge ki aap ne ye paise kaise kamaye hai to aap unhe adsense ke bare me btaye. uske bad wo aapke bank account me payment add kar denge.





I hope aapko ye article pasand aayega. or adsense account me bank account number add karne ki problem clear ho jayegi. but fir bhi aapko meri koi bat samajh na aaye to comment ke throw apni problem mujhse puch sakte ho. comment ke sath post ke bare me 2 lines likhna na bhoole.


No comments:

Post a Comment